Android phone ko format yane hard reset kaise kiya jata hai, iske bare me janate hai. Mobile ko hard reset karane ke kayi reason hote hai, jaise mobile slow chalana, Ya phir recent updates ki wajah se mobile me problem aana.

Yese kayi reason hote hai, jiski wajah se hum mobile ko hard reset karana padata hai. To chaliye janate hai ki kisi bhi android mobile ko hard reset, format kaise karate hai.
Android Phone Ko Format (Hard Reset) Kaise Kare
Note: Hard reset karane se mobile ka sabhi data jaise video, contacts, mp3 songs, images sabhi format ho jate hai. isliye mobile ko format karane se pahale data ka backup jarur le.
Method 1 : Setting Se Mobile Format, reset kaise kare
Simple setting me jakar bhi hum mobile ko hard reset kar sakate hai.
Step 1: Setting open kare.
Step 2: Ab setting me niche Backup & Reset Par click kare.
Step 3: Factory data reset par click kare.
Step 4: Reset Phone pe click karke uske bad Erase everything pe click kare.
Aapka mobile reset ho gaya hai.
Method 2: By Using Hardware Keys (Volume Button +Power on/off Key)
Kisi bhi mobile par ye method lagu hoti hai.
1. Mobile ko Turn off kare.
2. Ab kya karana hai, Power Button + Volume up Button dono ko ek sath press kare. Kuch der tak dono key press karke rakhe jab tak niche jaise (recovery mode) picture dikhayi na de.

3. Ab Volume Down Key se niche aaye, Wipe data/Factory reset option par aaye ab ok karane ke liye Power Button ok click kare.

4. Ab ek new screen aayegi jisme NO, YES in jaise option honge. Phir Volume down key se Yes Delete All User Data par lakar Power button pe ok karle.

Ab kuch hi seconds me mobile ka data delete ho jayega aur sath me aapka mobile reboot ho jayega.
Mobile ko hard reset karane ke bad mobile ke internal & External data delete ho jayega.
Note: Mobile hard reset karane ke bad aapka play store ka account bhi delete ho jata hai. Isliye play store par phir se hume Gmail se login in karana hoga.
Hard reset method mobile ka pattern thodane ke liye bhi kiya jata hai. Jab hum apne mobile ka pattern bhul jate hai, tab hum mobile ko hard reset karake pattern tod sakate hai.
Post a Comment