Net Banking kya hai, Net Banking kaise kare In jaise sawalo ke jawab aapko yaha par dene wale hai,SBI Internet Banking Activation.

Net Banking kaise kare

Net Banking:

Net Banking Ek Service hai, Jisse help se account holder ghar baithe apne account ki puri details dekh sakata hai. Ye details hum apne mobile, laptop/computer se prapt kar sakate hai.

Internet banking service ki wajah se hum apne ghar balance check, payment transfer, mobile recharge, bill payment kar sakate hai.

Benefits of Internet Banking:

1. Account balance check kar sakate hai.
2. Kisi bhi year ka statement dekh sakate hai, print kar sakate hai.
3. Kisi bhi ko fund transfer karana.
4. Online payment, mobile recharge, shopping kar sakate hai.
5. Mobile number update karana.
6. New ATM ke liye apply kar sakate hai.

         ·        SBI me Mobile Number Kaise Register Kare

Net Banking Kaise Kare – How to register for internet banking:

Aapka jis bank ka account hai us bank me internet banking service hai to aap uske liye register kar sakate hai.
Register karane ke liye bank me jake application de sakate hai. Ya phir bank ki site par jakar online bhi registration kar sakate hai.
Uske bad bank se hume User Id & password milata hai, jiski help se hum login kar sakate hai.

Konsi Bank Me Net Banking service Hai?
Jitani bhi nationalized banks hai wo internet banking service provide karati hai.

1. State Bank of India (SBI)
2. Bank of India (BOI)
3. Bank of Baroda
4. Punjab National Bank (PNB)
5. Bank of Maharashtra
6. Canara bank
7. City Bank
8. Axis Bank
9. ICICI Bank
10. HDFC

Net Banking Use Karate Samay Ye Baate Dhyan Me Rakhe:

1. Apna net banking ka user id & password kisi ko bhi na bataye.

2. Net banking ka istamaal public places me na kare jaise Cyber café.

3. Har 1-2 month me apna password change karate rahe.


Post a Comment

Previous Post Next Post