Android Phone Se computer me internet kaise chalaya jata hai iske bare me janate hai. एंड्राइड फ़ोन से कंप्यूटर में इन्टरनेट कैसे चलाए.

Aaj sabhi ke pass android mobile hai aur usme internet maujud hai. Lekin kayi log apne mobile se computer par internet chalana chahate hai.
To chaliye janate hai ki kaise hum apne android mobile se computer/pc/laptop me net kaise chala sakate hai.
Requirement:
Hum aapko 2 method batane ja rahe hai, first method me hume ek USB Cable ki jarurat hogi.
Mobile Se Computer Par Internet Kaise Chalye – Method 1:
Step 1:
Mobile me internet start kare, ab mobile ko USB lagaye.
Step 2 :
Us USB Cable ko computer ko lagaye. Ab mobile ki setting me chale jaye. Setting me Threating & Portable hotspot Ka Option hai uspe click kare.
Step 3:
Usme hi USB Threating ke option par click karde. Ab aapke computer me internet shuru ho jayega.


Method 2 : Wifi Hostpsot Ke Jariye:
Dusari method hai jisse hum apne android mobile se computer par internet chala sakate hai.
Is method ke liye humare computer me wifi ke driver install hone jaruri hai. Agar nahi hai to inko download karke install karle.
Step 1:
Computer ka wifi on kare.
Step 2 :
Mobile ki setting me jaye – Phir Wireless & network Me Jaye – Tethering & Portable hotspot ko Open kare. Portable Wi-FI Hotspot ON kare.
First time aapko usko name aur password dena hoga.

Step 3:
Computer ke notification center area me apne mobile ka wifi ka naam dikhayi dega usko connect karde.
Ab humare computer me bhi internet start ho jayega.
إرسال تعليق