Mba course information in Hindi, MBA karane ke fayde, MBA ki Jankari
Hello friends, hum iss post mein MBA ke bare me kuch jankari prapt karne wale hai. MBA yani ki Master of Business Administration ye ek post-graduation degree hai.

MBA india aur baki countries mein bahot popular hai aur students isme apna career banana chahte hai aur wo safal bhi hote hai. Hum iss post mein MBA kya hai, MBA eligibility, MBA ke specialization ke bare me janege.
MBA kya hai
MBA – Master of Business Administration ek Post-graduation degree hai. India mein MBA course 2years ka hota hai other countries mein MBA course 3years kahi 5years (BBA+MBA) ka bhi hota hai.
Iss 2years syllabus mein 4 semesters jo ki 6mahine ke hote hai.
MBA sirf business ke liye nahi hai toh aaj isme 15se bhi jyada specialization courses hai jisme Human Resource (HR), Finance aur Marketing, Banking, IT(Infromation Technology) ye jyada popular hai. Lekin aapko jo bhi specialization pasand ho wo kr sakte hai.
MBA Eligibility:
MBA Eligibility yani MBA patrata( ise kon kr sakta hai). MBA ke bare mein janne ke baad bat aati hai ki iske liye eligible hone ki. Toh aap iss mein jan sakte hai ki aap eligible hai ya nahi. Agar aapko MBA krna ho toh aap graduate hone cahiye wo bhi sirf 50% aggregate ke sath(backward class students ke liye 45% hota hai). Aur aapko admission lene ke liye aur ek CET (Common Entrance Test) exam deni hoti hai jo ki hai CAT – Common Admission Test.
Agar aako iss entrance test mein achhe number milte hai to aapko achha sa college mil sakta hai. CAT kea lava aap dusre bhi entrance exam me pass ho ke MBA ke liya admission paa sakte hai.
CAT ke alave aap MAT, CMAT, GMAT, NMAT entrance test se MBA ke liye eligible ho sakte hai. Yeh entrance test MCQ(Multiple Choice Question) based hoti hai jiske syllabus mein Quantitative Ability Syllabus, Logical Reasoning, Verbal Ability, Vocabulary, General and Business GK(Elementry Level), Grammar parts hote hai.
MBA Specialization
Aap apni pasand se MBA me Specialization kr sakte hai. Aap niche diye gaye Streams me se MBA Specialiazation kr sakte ho.
MBA in Finance
MBA in Human Resources
MBA in I.T
MBA in Banking
MBA in Marketing
MBA in Telecommunication
MBA in E-Business
MBA in Technology management
MBA in Industrial management
MBA in in Health Care
MBA in Entrepreneurship
MBA in Executive
MBA in Executive
MBA in in General Manager
MBA in Risk management
MBA in Consulting
Hum aasha krte hai ki aapko ye post achhi lagi ho. Agar aapko MBA ke bare me kuch aur jankari chaihiye ho to aap niche diye gaye comment box mein comment kr ke aapke ke questions puch sakte hum aapke questions ke answers dene ki puri koshish karenge.
Thank You!
Post a Comment