Atm se paisa na nikle to kya kare, ATM se paise nikale bina account se paise kat jaye, atm se paisa na aye to kya karna chahiye

Aaj hum sabhi ke pass ek to ATM card hai. Jab bhi hume paiso ki jarurat hoti hai, tab hum ATM se Paise naila lete hai.
Lekin kabhi kabhi humare sath bahut badi problem ho jati hai, hume urgent paiso ki jarurat hoti hai. Tabhi ATM machine par jate hai, account se paise to cut ho jate hai, lekin paise nahi nikalate hai. To yese me hume kya karna chahiye iske bare me batane ja rahe hai.
एटीएम से पैसे नहीं निकले लेकिन अकाउंट से कट हो गए
To Yese me kya karna hoga.
1. Bank Ko Report Kare:
Jab aapke atm se paise na nikale aur account se cut ho jaye to iske bare me apne bank me jakar unko bata de. ATM se jo aapko printout mili hai, uspar transaction id hota hai, wo aapko waha dena hoga. Bank ispar jald hi action legi aur aapke paise wapis account me credit ho jayenge.
2. Bank Customer Care Ko Bataye:
Jaise hi aapke paise cut ho jate hai, aur aapko wo nahi milate hai to yese me aapko apne bank ke customer care se baat karani hogi. Unko apna transaction id batana hoga.
RBI Ke Rule:
Pahale aapko jis bank se pasie cut hue hai, us bank ke home branch me jakar shikyaat karni hai.
1. Agar sikhayat karane ke 7 din bad aapko apna paisa nahi milata hai to 8 ve din se bank ko aapko har din Rs.100 juramana dena hoga. Wo jurmana aapke account me credit kiya jayega.
Lekin aapko ye dhyan rakhana hai, ki jab aapke paise cut ho jate hai uske 30 din ke under aapko sikhyat darg karani hogi.
Agar aap 30 din ke bad sikhyaat darg karate hai to aapko jurmana nahi milega.
To ab aap samaj gaye honge ki agar paise cut hojaye to aapko kya karana hai.
Post a Comment