Android app banakar isse hum paise kaise kama sakate hai, iske bare me aaj hum janane wale hai.

App Banakar Paise Kaise Kamaye

Lekin isse pahale ye janana jaruri hai, ki android app kaise banaya jata hai. Ya phir hum kaise bana sakate hai. Uske bad android app se earning kaise hoti hai.

Android App Se Earning Kaise Hoti Hai?

Android app Se earning kaise hoti hai. Iska siddha sa jawab hai ads ke jariye. To phir ye ads hume kaha se milegi?
Ye ads hum admob se milegi. Admob google ki hi service hai, jis par hume account banana hota hai, aur phir uske jariye humare android apps par ads lagane hote hai.
Ads lagane ke bad humari earning shuru ho jati hai.

Android App Kaise Banaya Jata Hai?

Android app banane ke 3 tarike hum aapko batayenge.

1. Android studio Ke Jariye
Android studio ke through hum khud coding kar ke apna android app bana sakate hai.

2. Android developer/ Professional Ko Higher Karke:
Agar aap khud android app banana nahi janate hai to koi baat nahi. Aapko kya karana hoga, freelancing site se android developer ki help se app banawana hoga. Jiske liye aapko us developer ko paise dene honge.

3. Bina Coding Kiye Third party Site se:
Aaj internet par kayi yesi site hai jo free me android app bana kar deti hai. Isse pahale humane aapko bataya bhi hai, ki appsgear se kaise hum app bana sakte hai.
Lekin iski ek dikkat hoti hai ki in jaisi site se banayi gayi apps par hum puri tarah humari ads nahi laga sakate hai.

Matlab 55% humari ads aur 45% jis site se apps banaya hai unki ads. Ye ek example hai ratio alag alag bhi ho sakata hai.

Apps Banane Ke Bad Kya Karana Hoga:

Chaliye man lete hai aapne apna android apps bana bhi liya ab aage kya?
Ab aapko kya karana hai, play store par jakar developer ka account create karana hoga. Jiski puri procedure yaha di gayi hai.

Lekin iske liye hume $25 pay karane honge. Tabhi hum apna app google play store par publish kar sakate hai.

Aur ye puri procedure puri karane ke bad hum apne android apps se paise kama sakate hai.
Iske alawa aapke man me koi sawal ho to comment me bata sakate hai.


Post a Comment

Previous Post Next Post