Android phone ko root kaise kare, Mobile Root Kaise kare, एंड्राइड फ़ोन को रुट कैसे करे?
Kya aap mobile root ke bare me janate hai? 

Mobile Root Kaise kare

Agar nahi to chaliye aaj hum aapko mobile root karane ke bare me batane ja rahe hai. Bahut se logo ko android root ke fayade aur nuksaan ke bare me pata nahi hai.

Android phone ko wahi log root karae hai jo log apne phone ke sath koi experiment karana chahate hai.  Phone ki performance ko shudharana chahate hai. Wahi user android ko root karate hai jin logo ko mobile ka thoda sa technical knowledge hai.
Phone ko 2 tarah se root kar sakate hai. 1 Apne mobile se hi aur 2 tarika hai, computer ke jariye.
Aaj hum yaha pe bina pc, computer ke mobile ko kaise root kiya jata hai iske bare me janane wale hai.

What is Root- Root Karana Yane Kya Hota hai?

Iska simple meaning hai mobile ko root karane par hum apne mobile ko jaise chahae waise customize kar sakate hai.

Jaise root ka general meaning hota hai, usi prakar hum mobile ke root (tah) tak pahucha sakate hai.

Android Phone Ko Root Kaise Kare (Without PC)

Mobile ko root karane se pahale hum kuch baato ka dhyan rakhana hoga.
1. Sabse pahale apne mobile ko charge karle usme kam se kam 70% se jyada charging honi chahiye.
2. Apne mobile data jaise contacts, messages, photos in sab ka backup lena hoga.
Kyon ki root karate samay ye data lost bhi ho sakata hai, isliye iska backup bana le.

         ·        Android Ko IPHONE Jaisa Kaise Banaye

Mobile Root Karane Ke Best Apps:

1. King Root:

King root mobile root karane ka bahut accha application hai. Google par king root search karke aap king root download kar sakate hai.
King root google play store par bhi available hai, waha se bhi download kar sakate hai.
Iska user interface bahut aasan hai.

2. vRoot:

V Root ye ek another rooting ka app hai. Bina computer ke android ko root karane ke liye bahut upyogi software hai. VRoot almost sabhi mobile ko support karata hai.

3. Framaroot:

Framaroot ek yesa app hai jo one click me root karane ke liye upyogi hai.
Framaroot.net is website se isko download kar sakate hai, but ye kuch selected mobile ko hi root kar sakata hai.

4. Root Genius:
Iske name se hi hume pata lagata hai ki ye app kisliye hai. Root genius se hum MTK devices ko root kar sakate hai. Agar aap apne phone ko Unroot karana chahate hai to bhi kar sakate hai.

To in upar diye gaye apps ki madad se hum apne mobile ko root bhi kar sakate hai aur unroot bhi.

Lekin aapko ek baat dhyan me rakhani hogi, jaise phone root karane ke advantages hai waise hi iske disadvantages bhi hai.


Post a Comment

Previous Post Next Post