Image, Photo ka Background kaise change kiya jata apne android phone se hai, Ya Phir Photoshop se image ka background change karane ka tarika kya hai, iske bare me tutorial me dekhenge.

Hello Dosto, Kya Aap apne photo se background change karana chahate hai. Hum kayi baar dekhate hai, ki humare friend’s facebook, whatsapp par photo edit karke upload karate hai.
To aap bhi sochate honge ki mujhe bhi mera photo edit karana hai. Lekin mujhe Photoshop nahi aata hai. Don’t worry aaj mai aapko mobile se photo kaise edit karate hai, uska background kaise easily change kiya jata hai ye batane wala hu.
To chaliye step by step sikhate hai ki kisi bhi image ka background mobile se kaise change kiya jata hai.
Mobile Se Photo Ka Background Kaise Change Kare:
- Sabse pahale aapko bata du ki hum background mobile se change karane wale hai uske liye hume ek android app ki jarurat hogi.
Google play store se
Auto background changer
By: Snap tools
Rating: 4.1 Ye app download karake install kar le.
-Aap jo apni image lene wale hai uska background same color ho. For e.g. Agar aapne apni selfi li to uska background plane color rakhe.
Step 1:
Sabse pahale auto background changer app open kare.
Step 2:
Gallery ke sign par click karke apna photo select kare jiska background aap change karana chahate hai.
Step 3:
Auto option jo niche diya hai uspe click kare, is option ki help se background ka jo same color hai wo select ho jayega.


Ab background color pe double click kare. Photo ka background nikal jayega.
Step 4:
Upar ek Arrow show hoga uspe click kare.

Step 5:
Ab images pe click karke aapko jaise background image chahiye wo select kare.

Step 6:
Aapko jo background pasand hai wo select kare aur Save button par click kare.

To is prakar simple step ko follow karke hum mobile se photo ka background change kar sakate hai.
Post a Comment