OTP- One time password Kya Hota hai, ओ.टी.पी. किसलिए होता है, otp example? In jaise kayi sawalo ke jawab aapko diye jayenge.

One time password Kya Hota hai

OTP Kya Hota Hai?

OTP yane one time password hota hai. Jo sirf 1 baar hi use kiya jata hai. Iski timing hoti hai usi bich iska use kiya ja sakata hai.

OTP security ke liye use hota hai. Iska use online shopping ki site, online payment karate samay, kisi site ka password change karate samay pucha jata hai.
OTP SMS se through humare register mobile number, email par send kar diya jata hai.

OTP code jo hota hai wo aam taur par 4 digit ya phir 6 digit ka hota hai. Iska use user ke authentication ke liye kiya jata hai.

OTP Kyon Use Kiya Jata Hai:

1. OTP high security ke liye use hota hai. Jaha par data ko high secure rakhana hota hai waha iska use hota hai.
2. Online banking & financial transaction ko secure banane ke liye iska use hota hai.
3. Agar OTP aapke mobile par send kiya hai aur aap wo validate nahi kar pate hai to aap wo transaction nahi kar sakate.

OTP kaha Use Hota Hai:

1. Paytm Me Login Karate Samay
2. Gmail 2-Step Verification Me
3. Whatsapp
4. Online Payment Karate Samay
5. Recharge website par

OTP Example:
1. Google 2 Step verification
E.g. G-235897

          ·        Free date Recovery Software’s
          ·        Top Indian E-commerce Websites


Post a Comment

Previous Post Next Post