Chrome Browser Me Pop Ups Ko Disable Kaise kare, how to turn off pop up blocker on Chrome Browser. Google Chrome Sabse jayada use hone wala browser hai. Lekin kabhi kabhi jab hum koi site google chrome me open karate hai to kuch site me pop up ads open hoti hai.

Har time open hone wali pop up ads hume pareshan karati hai. Tabhi hum sochate hai, ki ye pop up ko kaise disable kare.
Hum apni marji se kisi bhi site par pop-up ko allow aur block kar sakate hai. To chaliye janate hai, kisi site par pop up allow ya disable kaise kiya jata hai.
How to Disable the Popup in Google Chrome:
Google chrome sabse jayada use hone wala browser hai. Log mobile & computer me internet surfing ke liye use hota hai.
Step 1:
Google chrome browser ko open kare.
Step 2:
Ab website ka URL Address bar me enter kare.
Step 3:
Jaise google.com ab address bar ke samane jo lock ka sign hai uspar click kare. Niche screenshot dekhe.
Step 4:


Ab ek popup window khulegi. Jisme niche pop up-block (default) is option ko select kare.
Chrome Setting Me Se Popup Allow-Block Kaise Kare:
Agar sabhi site par popup ko block karana hai to setting me se hum kar sakate hai. Uske liye niche di gayi step follow kare.
Step 1:
Google chrome browser open kare. Setting Par click kare.

Step 2:
Search box me popups type karke enter kare.
Step 3:
Ab niche content setting me Popups ka option hoga uspe click kare aur blocked ko select kare.

Is prakar hum google chrome browser me popup ko block & allow kar sakate hai. hume iski jarurat tab padati hai, jab kisi site par popup ads lagayi gayi hoti hai.
Is se related koi problem ho to comment me puch sakate hai.
Post a Comment