Domain name kya hota hai, domain name kaha se kharidana padata hai. Iske bare me aaj hum aapko batane wale hai.

domain name kya hai or domain kaha se kharide

Aaj internet par har koi apni pehchan banana chahata hai. Internet par apna naam dekhna chahata hai. Lekin iske bare me sahi se Jankari nahi hone se wo problem me padate hai.
Internet par apni identity banane ke liye best way hai, khud ki website banana. Apni website banane ke liye sabse se jaruri hota hai, domain name & hosting.

Domain Name Kya Hota Hai?

Jaise humara khud ka ek unique name hota hai, jisse log hume pehchanate hai usi prkar, Domain name yane humare website ka name hota hai. Internet par lakho, karodo site hai, lekin har ek site ka apna ek unique name hai, jisko domain name kaha jata hai.

Jaise :
www.google.com  isme www- World Wide Web, google – domain name, aur .com – domain code hota hai.

Agar hume internet par apni site banana hai to pahale domain name purchase karana padata hai.
.com ye domain extention ya phir domain code hota hai. Isme hum
.in, .org, .co.in, .uk, .us is parak ke domain code ke sath domain register kar sakate hai.

       ·        Blog Ke Liye Sitemap Kaise Banaye
       ·        Blogger Par Contact Us Page Kaise Add Kare

Domain Name Ke Liye Kitana Kharch Aata Hai:

Sabse pahal sawal humare man me aata hai ki domain kharidane ke liye kitane paise lagate hai.
Domain hum 1 saal, 2 saal , 3 saal yese saal ke hisab se kharid sakate hai.
Generally agar hum .com domain 1 year ke buy karate hai to Rs.500 lag sakate hai. Aur wahi koi offer, discount chal raha hai to 1 year ka Rs.99 tak mil jata hai.

Domain Kaha Se Purchase Kare:

Domain name kaha se kharide ye humare man me sawal hota hai, to chaliye aapko iske bare me bata dete hai.

Domain kharidane ke liye popular sites jo hume saste me domain deti hai.

1. Godaddy.com
Bahut hi popular aur trusted site hai, jaha se hum apna man chaha domain buy kar sakate hai.

2. Bigrock.in
Bigrock ye ek Indian site hai, jaha se hum kam kimat me domain register kar sakate hai. New user ke liye bigrock par Rs.99 me .com domain 1 year ke liye mil raha hai.
Bigrock.in is link se aap domain purchase kar sakate hai.

Domain Kaise Kharidate Hai:

Simple aapko 3 steps ko follow karke domain purchase karana hai.
Step 1:
Aapko jis site se domain kharidana hai us site par jakar pahale sing up ke jariye apna account banana hai. Usme apna name, user name, email etc. dal ke account banana hoga.

Step 2:
Apna domain waha search karana hai aur usko buy now pe click karake buy karana hai, extra services jaise domain privacy, ssl certificate inko skip kar dena hai. Agar aapko coupon code pucha jaye to aap coupon code daal sakate hai. Jisse aapko discount mil jayega.

Step 3:
Net banking, ATM, Paytm ke through payment karani hai. Aapka domain successfully register ho jayega.

To is prakar hum domain name register kar sakate hai.

Post a Comment

Previous Post Next Post