Computer program, software Kaise uninstall kare with picture, software ko computer se kaise nikala jata hai. Iska Tutorial aaj hum aapko dene wale hai.

Hello dosto humare pass computer, laptop hota hai, aur usme hum useful software install karate hai. Aam taur par hum apne laptop, computer me jo software necessary hai unko hi install karate hai.
Lekin humare computer me kayi yese bhi software hote hai, unko hum sirf 1-2 bar hi instmaal karate hai. Lekin usko uninstall karana bhul jate hai.
Agar aap apne computer par internet ka use karate hai, to koi file download karate samay, ya popup message ki wajah se humare system me unnecessary software install ho jate hai.
To hume apne system se in unnecessary software ko uninstall karana padata hai. Ya un software ko uninstall karana chahiye jinka use hum nahi karate hai.
How to Uninstall Computer Software with Picture:
Kisi bhi software ko properly uninstall karana padata hai. Agar aap inko properly uninstall nahi karate hai, to bad me problem aasakati hai. Isliye computer software ko proper way se uninstall karana jaruri hai.
Step 1:
First up all aapko start button par click karana hoga aur waha se control panel ko open karana hoga, jaise niche bataya gaya hai. (Ye windows 7 ki image dikhayi hai, windows 8,10 me aap direct search me control panel type karke enter kare).

Step 2:
Control panel ko open karane ke bad usme aapko program & features par click karana hoga.

Step 3:
Thoda wait kare ab aapke samane aapke computer me jitane bhi software install hai unki list dikhayi degi.
In me se aapko jo bhi software, program uninstall karana hai usko select kare aur upar uninstall par click karde.

Step 4:
Preparing for uninstallation dikhayi dega uske bad 1-2 baar aapko next karana hoga.
1-2 minute me aapka software aapke computer se uninstall ho jayega.
To simple in 4 steps ko follow karake hum kisi bhi software ko properly uninstall kar sakate hai.
Other Methods:
Hum sirf control panel se nahi balki start menu me jakar jis software ko uninstall karana hai, us folder me uninstall ka option hota hai, waha se bhi uninstall kar sakate hai.
Ya phir kisi third party software jaise C Cleaner ki help se bhi software ko remove, uninstall kar sakate hai.
Agar post acchi layi ho to apne dosto ke sath jarur share kare. Problem ho to niche comment kare.
Post a Comment