Android Apps Ko Google Play Store Par Upload Kaise Kare, Android apps ko play store par kaise dala jata hai, iske bare me janenge.

एंड्राइड अप्प्स को प्ले स्टोर पर कैसे अपलोड करे.

Aaj android operating system ki market me kitani popularity hai ye hum sab janate hahi. 98% se bhi jayada log android os wale smartphone use karate hai. Smartphone par jayada se jayada kam android app se hi pure hote hai.

Kya aap janate hai ki hum bhi apna khud ka android app banakar usko play store par upload kar sakate hai.

Android app play store par dalane se humara kya fayada ye aap soch rahe honge. To chaliye aapko iske advantages ke bare me bata dete hai.

Play Store Par Android App Upload Karane Ke Advantages:

 1. Agar aapka khud ka kuch business hai, website hai aur uske liye aapko traffic, visitor ki jarurat hai to aap uska android app banakar usko play store par daal sakate hai.

2. Google play store se hume free me lakho visitor milenge.

3. Apne banaye hue apps se hum money (paise) bhi kama sakate hai. Uske liye hume Admob ka account banana padata hai.

Google ki hi ek service hai Google play store jaha se hum apne android mobile ke liye free/paid games, apps download kar sakate hai.
To chaliye ab janate hai ki apna khud ka android app play store par kaise upload kiya jata hai.

How to Upload My own Games/app on Google Play Store:

Google play store par app upload karane ke liye hume one time fess jo $25 hoti hai, wo pay karani padati hai. Yane Karib Rs.1500 Sirf first time pay karane ke bad aap jitane chaho utane app google play store par upload kar sakate hai.

Step 1:
Google play Console Par Jana Hai. https://play.google.com/apps/publish/signup/

Step 2:
Agar aapke pass Gmail account to usse sign in kare ya phir new gmail account create karana hoga.

4 Steps ko hume follow karana hai.
1. Account bana le.
2. Accept Developer Agreement Kare
3. Pay Registration Fee –Debit card se $25 yane Rs.1500-1600 fess pay kare.
4. Complete your Account details

Google play store par android app kaise upload kare

Step 3:
Ab developer account create hone ke bad aap uske homepage par Add new application hoga uspar click karke apna app upload karde.

Step 4:
App se judi other information jaise language, aapki website, email ye sab details bhi aap waha jake add kar sakate hai.

Is prakar simple steps ko follow karke hum apna khud ka android app google play store par upload kar sakate hai.

Apne app par admob ke ads lagakar hum apne app se paise bhi kama sakate hai.

Google Play Store Ke Terms & Conditions:
Google play store ki terms & conditions hai, jinko hume follow karana jaruri hai.
       ·        Hum kisi dusare ka app edit karake publish nahi kar sakate.
      ·        Third party se banaya hua app play store par nahi daal sakate.

Post a Comment

Previous Post Next Post