Whatsapp profile picture kaise hide kare, how to hide whatsapp profile picture, Whatsapp ki Jankari Lene Wale hai.

how to hide whatsapp profile picture,

Aaj hum sabhi whatsapp ka use daily life me karate hai. Lekin jab bhi hum social networking sites, apps ka istamal karate hai tab security ki baat pahale aati hai.

Kayi log whastsapp ka istmaal business purpose ke liye karate hai to kayi personal use ke liye. Personal use karane walo ko security ka itna janzat nahi hai.
Lekin jo log whatsapp ka use business ke liye karate hai, unko apni security par dhyan dena jaruri hai.

Jo Girls hoti hai, wo apna profile picture ki unknown person ko show nahi karana chahati hai. Isliye whatsapp ne kuch features add kiye hai, jiski help se hum apni profile picture hide kar sakate hai.
Hum setting me se profile picture hide, ya phir sirf apne contact list ko show kar sakate hai.

Whatsapp Profile Picture Kaise Hide Kare:

Step 1:
Sabse pahale apna whatsapp open kare.

Step 2:
Ab whatsapp ke setting ko open kare.

Step 3:
Setting me jakar account – Privacy ko open kare.
Account - Privacy

Step 4:
Ab waha par Profile photo ka option hoga uspar click kare.

Profile photo

Step 5:
Profile photo pe click karane ke bad ek popup open hoga. Usme aapko 3 options show honge, usme nobody pe click kare.

Nobody

Everyone: Koi bhi profile picture dekh sakata hai.
My Contacts: Sirf aapke contact hi profile dekh sakate hai.
Nobody: Koi bhi profile photo nahi dekh payega.

Step 6:
Congratulation aapka profile picture ab hide ho gaya hai. Ab koi bhi aapka profile picture nahi dekh payega.

To is prakar hum apna whatsapp profile picture hide kar sakate hai.

Post a Comment

Previous Post Next Post