Xml sitemap kaise banaye, Blogger sitemap An Error Occurred, Blog ke liye sitemap kaise banaye. Blog ka sitemap kaise banaye.
Jab hum new website ya blog banate hai to uska sitemap create karake usko search engine me submit karana bahut jaruri hota hai.
What is Sitemap?
Sitemap kya hota hai. Iske name se hi pata lag jata hai sitemap yane humari site ka naksha. Yane sitemap ke jariye hum search engine ko ye batate hai ki humari site pe kya kya post, articles hai.
Jab hum new site banate hai to search engine ko hume ye batana padata hai ki humari bhi ek site hai. Aur uspar itna data hai. Isliye xml sitemap banker search engine me submit karana padata hai.
Website/Blog Ke Liye sitemap Kaise Banaye:
Simple steps ko hume follow karana hai aur sitemap create karana hai.
Step 1:
Sabse pahale www.xml-sitemaps.com website ko open kare.
Step 2:
Ab niche
Starting URL: Yaha par jis site ka sitemap banana hai uska URL copy karke paste karde.
Change Frequency: Always
Last Modification: Use server response
Priority: automatically calculate priority

Ab Start Button Par click karde.
Is sitemap me aapke site ke maximum 500 pages indexed honge.
Step 3:
Thoda time wait kare aapki site ka sitemap generate hone me 1-2 minute lag sakate hai.
Step 4:
Ab aapko niche your sitemap is created! ka message show hoga, jiske niche humari site ka sitemap hoga.


Sitename.com/sitemap.xml
Ab is sitemap ko copy karle aur google search console me submit kare. Aur robots.txt me bhi sitemap add kare.
Method 2: Blogger Ka Sitemap Banate Samay Error Aa Raha Hai?
Agar aapka blog subdomain ke sath hai to aapko kuch is tarah ka error aayega.
An error occured
There was an error while accessing the URL specified: http://demo.blogspot.com/ncr
Please make sure to specify the correct website URL and resubmit your request.
Is error ko kaise solve kare aur blogspot ke liye sitemap kaise banaye.
Step 1:
http://tools.mybloggertricks.com/generator/sitemap.html
Is site ko open kare.
Step 2:
Type blogger URL: Yaha apne blog ka URL dale. URL http:// ke sath dalana hai.
Post Count: Isme aapki sitepar kitni post hai wo dale.


Submit par click kare.
Step 3:
atom.xml?redirect=false&start-index=1&max-results=150
Ab aapka sitemap generate ho jayega. Us sitemap ko lekar google search console me submit kare.
Sitemap Se Jude Kuch Sawal:
1. Blog sitemap banate samay “An error occurred” Aa raha hai kya kare?
- Agar aap xml-sitemaps.com is site par BlogSpot wali site ka sitemap bana rahe hai to error jarur aayega.
Isliye method 2 ka istmal kare jo upar batayi hai.
To is prakar hum apne blog, website ke liye sitemap generate kar sakate hai. Upar di gayi step me kuch problem ho to aap niche comment box me hume bata sakate hai.
Post a Comment