Google Par Photo Upload Kaise Kare, Google पर अपना Photo कैसे Upload करें?
Google par image upload In jaise kayi sawal aapke man me aate honge.

Google Par Photo Upload Kaise Kare,

Hum sabko lagata hai ki humari khud ki ek pehachan ho. Humara bhi naam ho, log humara bhi naam le.
Jab hum google par kisi ka naam search karate hai, tab uski photo, image google me show hota hai.

Tabhi hum bhi sochate hai ki yaar mujhe bhi apni photo google par dalani hai. To ye kaise hoga? Mai apni photo google par kaise upload kar sakata hu. To chaliye puri details me janate hai.

Sabse pahale ek baat dhyan me rakhe ki hum direct google par apni photo upload nahi kar sakate. Uske liye hume alag alag ways ka istmaal karana padata hai.

Google Par Photo Upload Karane Ke Tarike:

To chaliye step by step dekhate hai, ki kaise hum google par photo kaise upload kar sakate hai.

1. Apni Blog/Website Banakar

Step 1:
Sabse pahale blogger.com pe jake aapko simple ek blog banana hoga. Uske liye aap ye Blog Kaise Banaye - picture tutorial aap padh sakate hai aur blog bana sakate hai.

Step 2:
Blog par pages me jakar ek page banaye about us aur usme apni ek image upload kare. Aur apni khud information add kare.

Step 3:
Blog par image upload karane ke bad us image ki properties ko open kare, aur title text me apna naam dale, Alt Text me bhi apna naam dale, OK Karde.

Image properties


Ab us page ko publish karde. Bus aapka kam ho gaya hai, aapne google par apni photo upload kardi hai.

Note: Blog par photo upload karane ke 4-5 din bad google par search kare, aapko apni image dikhayi degi.

Also Read:
     ·        1 Mobile me 2 Whatsapp Kaise Chalaye
     ·        Video Download karane ke liye best apps

2. Social networking Sites Se (Facebook, Google+, Instagram, Twitter)

Second way hai, social networking sites ki help se photo upload karana.
Aapko ek ek karke sabhi social networking site par apna account banana hoga. 

Account banate samay apna name, details, aur profile photo upload karna hoga.
Lekin ek baat dhyan me rakhe ki social networking site jaise Facebook, twitter, Instagram is par profile photo publicly show karani hogi.

Aapki profile picture google search engine ke liye visible rakhani hai. Tabhi google par aapko photo show hogi.

Isme sabse best way hai, google+ par account banake profile upload karana. Kyon ki Google+ google ki hi service hai.

Step 1:
Par chale jaye. Aur waha par jakar apni google+ profile create karle.

Step 2:
Profile me apna name, details fill kare.

Step 3:
Ab google+ account par apna photo upload karde.
Bus yaha par bhi aapka account ban gaya hai, aur aapne google par apni photo upload kar di hai.

6-7 din ke bad google par apna name search kare, ab aapko apna bhi photo usme jarur nazar aa jayega.

To is tarah simple di gayi method se hum kisi ka bhi photo google me upload kar sakate hai.

Post a Comment

Previous Post Next Post