Android se iphone par data transfer kaise kare, android to iphone data transfer.
Kabhi kabhi yesa ho jata hai ki humare pass iphone hota hai, aur friend ke pass android ka smartphone.

To yese Me hume kuch friends se kuch data lena hota hai to hum soch me pad jata hai ki friends ke pass to android mobile hai to usse hum apne iphone me data kaise le.
To chaliye aapke is question ko hum hal kar dete hai. Aaj hum aapko batayenge ki kaise hum android se iphone par data share, transfer kar sakate hai.
Android to iPhone data transfer:
Android to android data transfer karane ke liye hum alag alag apps jaise Zyapa, Share it inka use karate hai. To yaha par bhi hume Share it ka hi use karana hai.
Step 1:
First android mobile aur iphone me SHAREit app ko download karke install karana hoga.
Step 2:
Ab android mobile me shareit ko start kare.
Step 3:
Man lijiye hum android phone se ek movie iphone me share karani hai. To SHAREit ko android mobile me start kare, ab SEND par click kare.
Wo movie select kare jo iphone me send karani hai aur send par click kare.
Also Read:
Step 4:
Ab send karate samay left side me Connect to IOS/Wp ka option hai uspe click kare.

Step 5:
Iphone me share it start kare aur Receive ke option par click kare. Ab aapka iphone aur android connect ho jayega.
Aur aapki file sending start ho jayegi. To is parkar simple tarike se hum android phone se Ios operating system yane iphone pe data share kar sakate hai.
Post a Comment