Free Android App Kaise Banaye, Android App Kaise Banta hai, Kya aapko pata hai ki hum bina coding ke bhi android app bana sakate hai?

Aaj kal sabhi ke android operating system wale smartphone dekhane ko milate hai. Aur android par almost jayada tar user apps ki help se hi apna work pura karate hai.
To agar aap bhi apne site ke liye ya phir other purpose ke liye android app create karana chahate hai, to ye post aapke liye hai.
Android App Kis Parkar Banaya Jata Hai?
Sabse pahale hum ye jan lete hai ki android app kaise banaya jata hai.
Android app 2 tariko se banaya ja sakata hai,
1. Android studio & coding se:
Agar aapko programming language ki knowledge hai aur aap professional android application develop karana chahte hai to android studio se kar sakate hai.
2. Third party sites/app se:
Bina coding ke agar aap android application banane ke bare me soch rahe hai to third party site ya phir app ki help se hum ye kar sakate hai.
Aaj hum aapko dusare tarike ke bare me batane ja rahe hai, jaha se hum free me android app create kar sakate hai.
Also Read:
Bina Coding Ke Android Apps Kaise Banaye:
1. AppsGeyser:
Sabse popular aur sabhi log jiska istmaal karate hai is site ka. Apgeyser se hum free me apne website/blog ka app bana sakate hai.
Step 1:
Appsgeyser site ko open kare. Create Now Par click kare.
Step 2:
Ab aap kis chiz ka apps banana chahate hai yane apne Website ke liye, Ya messenger, browser Ye template me se select kare.
Aur apni details ke anusaar apna app bana le. Appsgeyser se create kiye gaye app se hum earning bhi kar sakate hai. Iska 50% revenue hume mil sakata hai.
AppYet Bhi utna hi popular app hai, jisse hum professional android app bana sakate hai.
Website/blog ka feed address provide karke easily hum apne site ka app create kar sakate hai.
Ye bilkul free hai. AppYet par jakar sign up kare aur apna application bana le.
3. Appyie
Appyie bahut popular android maker site hai. Upar di gayi link se appyie site par jaye.
Waha aapko photo, health, restaurant, Education, Law firm, Insurance in jaise 35+ template me se ek template select kar sakate hai.

Agar aap ek professional, advanced android app banana chahate hai to aap appyie ka use kar sakate hai.
To is prakar hum bina coding ke bhi android app bana sakate hai.
Like our Facebook page for latest updates:
Post a Comment